DANCE HUM BHI KAR SAKTE HAI

10 BASIC TIPS : PERFECT DANCE KAISE
SIKHE -

aaj main sagar indora aapke liye bhut popular post lekar aaya huu jise likhne me mujhe 5 din lag gaye main apne experience se aapko dance ke baare me sabse best se best trike se ek acha dancer banne ki traf attractive krunga. i hope mere dear frds ko ye post bhut pasand aaygi.....lv is life

Dance ki ye post  likhne se pehle main
(God Of Dance) "RAGHAV" Ko pranam kehna chahuga. kyoki main usi ko follow karne ke baad ek acha dancers me khud ko shamil kar paaya huu.

Dosto Dance jitna dekhne me aasan hai
utna karne me aasan nahi hai . kyu ki dance voh hai jo apne man ke bhaav ko sahi tarah se vyakt kar sake. Fir aise hi yaha vaha haath-paav hilana voh koi dance nahi hota hai. Dance ek kala hai jise perfect tarike se ki jaye toh log aapke diwaane ho jayege aapki tarf attract honge. Or agar aap ek ache dancer ban gaye toh aap soch bhi nahi sakte utne paise bhi kama payege or toh or naam bhi kama payege.


Puri duniya me log apne dharm ke anusaar alag-alag dance karte hai. Jaise ki hamare india me Shastriy Nuty,Lok Nuty,Bharatnatyam jaise dances
hai. aaj kal india me Bollywood jayda chlta hai kyoki indain hone ke saath saath ye jruri bhi hai. Vaise hi bahar ki cuntry me bhi alag-alag hai. Aaj kal dance ke itne jyada styles badh gaye
hai ki main aapko jitne naam du utne kam hai.Freestyle,poping,hiphop,
breakfree,Lyrical,bollywood
dance etc. Dance ke base par film industrys wale apni movies ko success banate hai,TV shows wale apna show chalate hai. Toh ye bhi sochiye dance kitna faila hua hai. is baat ko aap mujhse behtarr samjh sakte hai..


Koi bhi shaadi ho,DJ party ho Ya koi event ho agar usme koi apna dance performance dikhata hai toh uske toh chaar chand lag jate hai.Har taraf
se uski vaah-vaah hoti hai. Dance ek aisi kala hai jise ham kisi ke dilo-dimaag pe raaj kar sakte hai. Main ye achi tarah se janta hu ki Dance sikhne ke
kahi fayde hai kyu ki mai bhi ek dancer (Layrical, Bollywood  slow motion ) hu. Aap believe nahi karoge lekin mujhe bachpan se hi dance se pyaar hai maine 2 baar dance classess kiye hai or 1-2 baar apna live performance bhi
show kar chuka hu aur youtub par bhi 30-40 video upload kar chuka huu.



Mai jab bhi koi tension me hota hu toh apna pura gussa dance pe nikalta hu. Kyu ki dance hi mere liye ek aisa zariya hai jise main apne mind ko relax kar
saku.Or aaj tak mai or mere jitne kahi dancers ne logo ka dil jit kar unhe impress kiya hai.Yeh ek aisi quality hai jiska use ham kahi bhi kar sakte
hai Or yeh quality khud me add karne ke baad kya batau ki kya awesome feelings aati hai.




Friends Pehle main dance sikhne ke kya fayde hai vo bata deta huu. jisse aapko pata chal jaye ki aapke liye dance sikhna kitna important hai Or fir janege
 ki step by step dance kaise sikhte hai.



Dance shikhne ke fayde- Benefits of dance


1...Koi bhi marriage function,events,Partys,Festivals,
School,College etc.me aap apna
jalwa dikha sakte hai.


2...Khud me dance quality add hone ke
baad confidece level badh jata hai.


3...Perfect dancer ban jane ke baad
kisi bhi dance show me apna
audition de sakte hai.


 4  ...Aap jise like karte hai usse aasani
se impress kar sakte hai.


 5...Koi bhi function me logo ke bich
me apni ek alag pehchan bana sakte
hai.


6...Agar aap ek ache dancer ban jate
hai toh dancing me apna career bhi
bana sakte hai.


7...School Ya Colleges me apna
perfomance dikhake logo ko
impress kar sakte hai.


8...Aap apni feeling ko dance ke
through expose kar sakte hai.(my best think)



9...Dance se ham apne tension or
gusse ko out kar sakte hai.Yani ki
ham apne stress level ko kam kar
sakte hai.


10...Workout or dancing agar dono
saath me kare toh Khud ki ek
unique and attractive personality
develope ho sakti hai.



11...Healthy Body or Healthy brain ke
liye dance zaruri hai.



12...Performance ke baad Aapko
pehchane wale logo ki sankhya
badh jayegi or aapke friend circle
me growth hoga.

main chahta huu ki is post ko pdhte waqt ye songs sunte rehe earphone me taaki aap feel kar sake aur dance shkhne ki tarf doddne lage..feel kroge to dance karna aapke liye bilkul bhi mushkil nahi hai.


(SAD BOYS,GIRL)

inko download kare.
MERE NISHAN (special )
TUM HI HO(special)
HUM MAR JAYNGE (for girls)
SUN RAHA HAI  (for girls)









10 Tips :Perfect Dance Kaise Shikhe


1...>>>>
Choose Your Style : Single Style &
Multi- Style Dancer : Jab ham dance
me naye (begginer ) hote hai tab
hamare paas 2 option hote hai . ( 1)
Koi ek single style choose kar ke
vahi style me dance sikhe Jaise ki -
Michle Jackson Breakdancing me
famous tha. aur india me mera best yuva dancer raghav( Crockroz) ...or
 (2) Isme ham jitni
chahe utni style me dance sikh sakte
hai or perfect sikhne ke baad sabhi
style ke steps ko mixing bhi kar
sakte hai . Isliye ab dance sikhne se
pehle aapko apni dancing style
choose karni hogi ki aap kaisa
dance kar sakte hai. Agar aap chahe
toh ek ek style sikh kar multi style
dancer ban sakte hai aur ab aap samjh hi gaye honge ki single aur multi style kya hai.



2....>>>>
Watch Dance Videos Online :
Agar
koi bhi chiz ko hame sikhna ho toh
voh sab se jyada dekhne se hi sikh
sakte hai . Isliye aap Youtube pe
begginer basic dance steps ke
videos dekh sake hai . Maine youtube
pe aise videos dekhe hai sach me
yeh videos bahut hi ache hai . I sure
ke yeh videos dekhne se aap Aasani
se dancing ke basic steps jaan
jaoge . Mai suggest karuga ki aap
Youtube pe jake baar baar online
video na dekhe verna aapka data
waste hoga isliye Youtube videos ko
apne mobile me download kar ke hi
rakhe



3...>>>>
Read About Dancing :
Aap internet
par search kar ke dancing ke bare
me jyada se jyada informations
padhe jisse aapko dancing sikhne ka
idea aa jayega . Kuch bhi sikhne se
pehle agar ham uske bare me jitni
jyada se jyada jankari pa le utna
acha hota hai main internet se hi kaafi kuch knowlege shikh chuka huu. Isliye aap magazines, books Ya  Internet se
dance ke bare me jaan sakte hai .



4...>>>>
Watch Dance Shows & Movies:
Dance sikhne ke liye hame sab se
pehle ek motivation ki jarurat padegi
jisse ham jaise hi dance sikhna start
kare tabhi se aag lag jaye or perfect
mehnat kare . Iske liye aapko dance
movies ( Like a ABCD, Step up etc . )
or dance shows ( Like a Dance india
dance, So u thik u can dance etc . )
dekhne hoge . Dekhne se ek gazab ki
energy aa jayegi or aap sochege ki
Ab toh movie wala dance sikhna hi
hai or hero jaisa dancer bhi bana hi
hai.



5...>>>>
Watch Live Performance :
 Aapki city
ya kahi bhi aaspas me agar koi
famous dancer ka live show ho toh
voh zarur attend kare. kyu ye hi ek
aisi jagah hai jaha pe aapko fun ke
saath bahot kuch sikhne ko
milega . Ya fir aap kisi school ya
college me hone wale live functions
ko dekh kar bhi khud ko dance ke
liye motivated kar sakte hai.



6...>>>>
Join Dance Classess :
Agar aap
chahte hai ki koi teacher ho jo aapko
dance sikhaye toh aap dance
classess ko join kar sakte hai. Yeh
teachers aapko 1st se leke last tak
sab sikha dege bas aapko yaha pe
unki kuch fees chukani hogi . Yeh
bahot se logo ka kehna hai ki dance
classess me jake hi dance sikh sakte
hai. Par me aisa nahi manta kyu ki
agar aap me dance sikhne ka ek
zabardast passion hai toh aap ghar
par bhi perfect dance sikh sakte
hai. Aisa zaruri nahi ki dance sikhne
ke liye koi dance classess ko hi join
kiya jaye .

                 

               


7...>>>>
Buy Your Headphones & Music
System :
 Dance sikhne ke liye agar
koi music system ho toh dance
sikhne ka maza hi kuch or hota
hai. Agar aapke paas music system
nahi hai toh mobile headphones toh
hone hi chahiye. Kyu ki headphones
se hi aap music ko deeply feel kar
sakoge. Ek song ko 5- 6 baar
headphone me sune se step apne
aap hi mind me creat hote jayege fir
aapko usse apni body pe lana hoga .



               


8...>>>>
Learn Basic Steps :
 Main manta hu
ki har ek bande me vo quality chupi
hai jisse vo acha dancer ban
sakta hai . Aap unique( ho so apni
uniqueness ko pehchane ke liye
headphone lgagaye apne favorate
song ko feel karo fir uski beat ko
pakdo or dhire - dhire apne haath- per
hilana shuru kar do. Or bas simply hi
dancing kare yani ki jo steps aapne
youtube basic videos me dekhe hai
usse hi beat ke saath attach karne ki
koshisk kare . Koi bhi bacha paida
hote hi dodne nai lagta bilkul ussi
tarah aap bhi ekdam se dance nahi
sikh jaoge . So tension mat lijiye or
dheere - dheere steps ko samjhe.




9...>>>>
Faadu Dance In Your Own Sytle
:
Kya aapne ABCD movie dekhi hai ?
usme pata hai last me jab unke
dance steps chori ho jate hai tab vo
log apni khud ki style me dance
karte hai voh bhi bina koi steps
plaaning kiye . Bilkul issi tarah aap
bhi jab dance sikh rahe ho tab apne
1 din me se 1 aisa short time nikale
jisme aapko apne favourate song par
aapko jo suzta hai voh dance karna
hai bina koi steps ki planning
kiye . Iss tarah dance karne se aap
puri tarah se khul jayege Or aapka ek
unique style bhi develope hoga .




10...>>>>
Practice In Front Of A Mirror :
Aap
jab bhi dance practice kar rahe ho
tab ye prayas kare ki mirror aapke
samne ho ! Agar mirror ke samne
dance karoge toh aapko apni galtiya
pata chalegi or aap perfect dance
kar paoge ..





Some Special Tips For Dance :
Music sunte waqt Dance steps 2 tarah se bana sakte hai.
(1)Music ki beat ko pakad kar uske hisaab se dance steps set kar sakte hai.(2) Jo song sun rahe hai
uske bol yani ki lyricaly dance kar sakte hai.For ex-Aasmaan ko zamin yeh zaruri nahi hamari adhuri kahani-Iss lyric me ham aasman pe upar ki
tarah haath or zamin pe niche ki taraf haath kar ke steps bana sakte hai.So aap jab bhi koi song sune toh uski beat or lyric ko pakad kar steps
banane ki koshish kare.


important for you.
Dance sikhne ke saath apne health ko bhi banaye rakhe kyu ki dance sikhte vaqt aapki kafi energy
bern ho sakti hai Jise vapas backup karne ke liye Acha khana hoga or zyada paani pina hoga.Bas yeh 2 simple baat ko yaad rakhiye or upar di gayi
10 tips ko follow kare.Aap 100% basic dance toh sikh hi jaoge..



Dance ki is post ko mene apne trike se likha hai because kyoki mene in sab chijo ko follow karke hi apna naam bhi dancers me aad kiya tha aur agr aap jis din songs ko feel karna shikh gaye aur uski beat ko pakdna shikh gaye to samjho aapka hunoor bhar nikalne laga so try kro is post ko padh kr apne andr ek baat baitha lo ki mujhe bhi ek dancer bnna hai chahe vo boys ho ya girls ho but shikho aur shikhao.


important baat(
jindgi me kabhi haar nahi manni chahye kyoki aaj ke daur me koi bhi kaam mushkil nahi hota hai. Bus paise kmana hi insaan ka mtlb reh gaya hai lekin log ye nahi jante ki paise kis vajh se aa rehe hai is baat par depend krta hai isliye shikhte rhiye aur pdhayi ke saath saath (dance, singing,acteen etc.)
shikhne ki kosish kare.
because pdhayi ke saath saath apne andar koi bhi ek telnt lana bhut jruri hai. 
is post se related koi jankari chahye ho to comments karke puch sakte hai.ya aap mujhe fb id SAGAR INDORA PAR messege kar sakte hai  ya gmail par lvlysagar27@Gmail.com    pr mail kare. sad statusMERA PEHLA PYAR MERI JINDGI THI ,HAI RHEGI ke liye ye bhi pdhe aur like kare nd thnks to all frds....................................for reading

Comments

Popular posts from this blog

ATM SE PAISE NIKAALNE PAR PAISA NA NIKLE AUR PAISE KATT JAAYE TO KYA KARE

Sad status