Exam Me Top Kese kare


Aaj main sagar indora aapko btaunga ki Exam Me Top Karne ke Liye Kaise Padhayi Karni Chahiye .
Exam ke time
student ki ek hi pareshani rehti hai ki Padhai Kese Kare , exam me ache marks kaise laye. Aap me se bhut se students ko preshani hoti hogi ki aap padhte hai,
exam ke time sab bhul jaate hai. Asal me friends, ye tension ki vajah se hota hai. So aaj, isi important baat ko lekar main  behad important tips lekar aaya huu aap ise  padh kar aap exam se bilkul nahi darenge balki pure confidence ke saath exam me ache marks le payenge
Chaliye jante hai, Exam Time Study Ke Baare k
important tips.

Exam Top Karne Ke Liye

Yhan main aapko kuch points bta rha huu aur is detail me explain bhi kar rha huu jinhe follow karke average student bhi easily class ke toppers ki list me aa sakte hai. bas jrurat hai concentration and shikh ki chahat ki.




1. Daily Class Attend Kare

Dosto aap exam ke end time par tension mat le
Book ke pure syllabus ko padhne ki kosish kare.To uske liye jaroori hai ki aap daily school or college me classes attend kare. Aisa karna isliye jaroori hai ki kyuki teacher ka padhaya hua hame aasani se samjh aa jaata hai aur humare dimag me set ho jata hai, jab
hum agar mahine baad bhi padhe to hame yaad rehta hai or study karne me easy rahta hai. Thoda hard to hota hai
par bhut saara tension lene se acha hai ki aap sab classes attend karo and tension free rho.


2. Time Table Set Kare


Bahut se aise students hote hai jo exam se ek ya do week pahle hi apni study start karte hai, aur ye shortcuts ke dum par exams dene nikal padte hai.
agar aap sach me apni life me kuch bada karna chahte hai to aapke liye ye tarika bahut hi bura hai . ise padhayi nahi kehte, ye sirf paas hone ka
tarika hai, jisse students exam me to paas ho jaata par kuch seekhta nhi aur fir baad me jab competition exams dene padte hai tab unhe kuch samajh nhi aata aur fir puri zindgi afsos manate hai. Jab aapka year semester start hota hai usi time aapko apna ek Subjct  wise time table bana lena chahiye. Kyuki vo decise aapka result aur aapki life badal sakta hai. Ek din jayada padhne se acha hai ki roj roj thoda thoda padh kar exam tak yaad rakh sake. Or iske liye time ka to hona bahut jaroori hai. Isske help se apko exam time me raat-raat bhar jagna nhi padega, aapko revision hi karni padegi aur aap aasani se ache marks se paas hoge.


4. Group Study Kare

 
Padhayi karne ka ye ek best tarika maana jaata hai.Aap group study kare friend ke sath, Group set karne se aapko new idea aane lag jate hai jo exam ke time help karte hai aache marks lane ke liye. Group study ek behad acha option hai jisse mind me new ideas aate hai or saath ki saath thodi masti bhi ho
jati hai friends ke sath or mind bhi fresh ho jata hai. exam ke tension waale mahol me bhut acha hota hai. Group study se exam ka pressure bhi kam ho jaata hai, aur koi aisi cheez jo aapko samajh nhi aati use aapke friend aapko aasani se samjha sakte hai.

Note : Kyi baar aisa bhi hota hai ki Group Study naam par students saath study ka plan to karte hai vo study se jyada idhar udhar ki baate karte hai
bhut important life me time barbad karte hai, so aap dhyan rakho ki aapke saath aisa kuch na ho. Ek baat yaad rakhe.. Dost aapke hamesha saath rhenge par exam jyada marks lene ka chance fir kabhi nhi milega important cheez par focus karna samajhdari hogi.


5. Early Morning Study


Bahut se students raat bhar jaag kar study karte hai fir bhi unhe kuch yaad nhi rahta. Aisa isliye hota hai dosto qki raat ko khana kha ke hume neend aana defiantly hai. Aur neend ki jagah jab hum study karne bethte hai to vo thoda impossible vala kaam ho jata hai. Iske liye main aapko ye salah dunga ki aapke padhayi ka time fix karna hai to
subah ka time fix kare, raat ko jaldi so jaaye aur subah jaag kar 3 ya 4 baje uth kar padhayi karo. Roj morning time me aapni Grasping power jyada hoti hai aur baar baar pdhne vaali cheez(JO Samjh nahi aati) bhi aasani se yaad reh jaati hai. Agar aap regular subah 2-3 ghante bhi padhayi karte hai to aap exam me aasani se top kar sakte hai.


6. Keep The Distractions Awa


Ye ek aisa point hai jise samajhna aaj ke youth ke liye jitna jaruri hai utna shayad kuch aur nhi. Aksar dekhne
ko milta hai ki students padh bhi rhe hote hai.phone par friends ya boyfriend / girlfriend ke saath chatting kar rhe hote hai(i am single )ya facebook use karte But ye sab cheez aapko padhayi se distract karti aur concentration kharab karti hai isliye aap jab study ke liye baitho to us waqt apne phone ko silent ya Off karke kisi aisi jagah rakh do jha aapki najar na pade aur aap phone aasani se chek na kar sako. Success ke
liye Distractions free Environment hona bhut jaruri hai.so aap apne aap se promise karo ki exam time phone ka use kam se kam karoge aur study ke time par to bilkul bhi nhi.
To friends ye the Exam time par study karne ke Exam me top karne ke kuch jruri baate, jo inhe theek samajh gya aur follow karna start kar dega wo to asmaan chuu lega.Aur use
success milna 101% sure hai. So let’s Get success!
Intelligent and have success in life.

ISSE related koi bhi jankri aur,.,.Kisi bhi tarh ki help ke liye aap mujhe contact kr sakte ho ya commnets karke puch sakte ho ya meri fb id SAGAR INDORA par msg kar sakte hai.thnks to all

Comments

Popular posts from this blog

ATM SE PAISE NIKAALNE PAR PAISA NA NIKLE AUR PAISE KATT JAAYE TO KYA KARE

Sad status

DANCE HUM BHI KAR SAKTE HAI