Google Par Gmail Account Kese bnaye

Email ID kya Hoti Hai

Email ID apki ek vertual ID hoti hai jiski madad se aap kisi dusre ki Email ID par message send
kar sakte ho Internet ke madiyam se. Jo Email ID hoti hai usme hamara username hota hai or
akhri me jis site par hamne Email ka account banaya hai uski link hoti hai or dono ke bich me
@ (at the rate) ka sign hota hai.
Jese meri Email ID hai lvlysagar27@gmail.com
Sagarlvly72@gmail.com
 to isme mera username hai sagar ki email id Gmail.com par hai.
Email ID aap kisi bhi site par bana sakte ho
 Yahoo , Microsoft ya GMail. Par me aapko Gmail Par ID banakar dikhaoga Q ki ye Google
ki Service hai to iske or bhi faide hai.


Gmail Par Account Kaise Banaye

Gmail Google ki hi service hai isliye Gmail Account ko Google Account bhi kehte hai. Gmail Par account banana koi jada muskil nahi
hai. Simple aap meri steps ko follow karna or agar kahi par aapko dikkat aati hai to muje phn karke bata skte ho m aapki puri trha
se help karne ki kosis karuga. To chaliye suru karte hai.

Step 1
SablvlysaLvlysagargl.com ki site par jaiye.

Step 2
Create account par click kare new account banane ke liye

Step 3
Ab aapke saamne ek Form khulega, usme aapko apni puri detail bharke submit karni hai
1. Apna Naam or Surname bhare.
2. username bharna hai. username me aap naam or number dono ko mila kar bhi bhar sakte ho. username me aesa naam bharna padega jo phele
kisi ka na ho. udharan aapka naam chand hai to aap chand user name me bharo par error aaye to usme kuch number laga do chand6181
3. Ab aapko apne account ke liye password likhna hai or usko dubara niche bhi bharna hai. password aesahona chaiye jo aapko aasani se yaad rahi
or dusra koi pata na kar paye. password me Number (12345) Sabd (ABCabc) or special cerector (@#$%!) ko milakar jo aap chahe bo password
rakh sakte ho. aapko password yaad rakhna hai.
4. Aapki jo bhi janm tharik ho usko bharna hai. mahina/tharik/saal is format me bharna hai
5. Ab aapka Gander selectkarna hai. Male ya Female jo aap hai select karle.
6. Apna Mobile Number dale
7. Apka agar koi Purani Email ID hai to usko dalo ya fir khali hi rhane do
8. Ab jo sabd likhkar verify karne ka option aa raha hai aap usko tik karke rhene de ya fir sabdo ko niche daalde.
9. Location me aap kis country se ho select karle. India Select karle
10. Ab Gmail ki term conduction ko maanne ke liye Tik karo
11. Next Step ki Button par click karo


Step 4
Apna Mobile Number verify karna hai. apna number check karke verify ka terika chune. SMS se code aayega ya fir aapko ek call
aayega usme code ko batayege. ek option select karne ke baad Continue ki button par click kare.

Step 5
Ab aapke pass chune huee tarike se ek code aayega aapke mobile par, usko yaha daalna hai
1. Apne Mobile par aaya Code dale
2. Continue ki buttom par click kare.

Step 6
Ab aapke saamne Google+ Par Profile banane ke liye option aayega. Aap chahe to bana sakte ho par ham baad me banayege, abhi
No Thanks ki button par click kardo.

Step 7
Ab aapka account ban gaya hai. or Pheli baar aapka account Open huaa hai isliya aapko welcome kar rahe hai. Get Sterted ki button
par click kare.

Step 8
ye lijiye aapka email account teyaar hai. aap isme dekhege Gmail Team se aap ko 3 mail aaye hai.
Ab aapka account ban chuka hai or khul kar aaoke saamne hai. Ab account jab bhi aap open karna chahe to Apna Email ID or uska
password daalkar Sign kar sakte ho.
Gmail me Sign In or Sign Out kaise kare
Sing In karne ke liye www.Gmail.com site par jao or apna email or password daalkar sign in kar sakte ho. fir aapka account khul
jayega.
1. Apna Email Id Dale
2. Apna Password dale
3. Sign in ki button kar click kare
ab aapka gamil account open ho jayega.
Jaruri: jab aapka account ka kaam ho jaye to account ke aese hii naa kate, apne account ko sign out kare. taki koi aapke
account ka galat istmaal na kar sake.
Upar corner me arrow par click karke Sign out ki button par click kare.
Google Account ka Kaha Use hai
Jo hamari Gmail ki id hai ye Google ki jitni bhi service hai un sab par login karne me use hogi.
Ye khuch Service jin par ham apni email is or password se login kae sakte hai
Gmail
Youtube
Google+
Blogger
Google Map
PlayStore
Adsense
Drive
or bhi jitni hai jo Google se connected hai.
Agar mujhse koi jankari chahye ho to mere mobile no Lvlysagar pe click krke jaan skte hai

Comments

Popular posts from this blog

ATM SE PAISE NIKAALNE PAR PAISA NA NIKLE AUR PAISE KATT JAAYE TO KYA KARE

Sad status

DANCE HUM BHI KAR SAKTE HAI